This is my script to give a new definition of love. In true sense, this is the love of love.
![]() |
Add caption |
![]() |
Add caption |
![]() |
Add caption |
Yeh ek Parivarik Film kee kahani hai. Nishant apni maan se
bahut Pyaar karta hai. Riya se Shaadi ke baad teeno bahut khushi se jindagi
basar karne lagte hain. Dheere-dheere Riya ki aankhon me Saasu maan khatkane
lagti hai. Bete ka maan ke prti Pyaar kam na dekhkar use bardash nahin hota
hai. Dheere-dheere Saasu maan ka pehle khana band karna shuru karti hai. Lekin
Maan bahut dur tak soch kar chup reh jaati hai.
Riya- Mammy ji Aap hi batao apni Saas se kese chutkara paaun.
Ritika- Jaan, Itihaas gavah hai, Maratha khandaan ki bahuon ne apni saasu maano
ki jali karmjali me tabdeel kar chodi hai.
Riya- Mammy ji vo baat to theek hai Lekin, Voh unse kafi Pyaar karte hain.
Ritika- ( Ungli ki shape banakar Dikhati hai- ) iske aage bade-bade
rishi-muniyon ne matha teka hai, tera bacchu to fir cheez hi kya hai.
Riya- Ek baat bataaun, voh mujhe bahut Pyaar karte hain. Itni si cheez ki bhi
kami nahin hone dete.
Ritika- Meri Jaan, Is Cheez se Swarg ke Raja Inder bhi nahin bach paaye…, To
Nishant hai hi kya cheez. Tu kuch aesa chakr chala ki tere hath… khoon se na
rangne paayen.
Riya- ( Dar jati hai, thodi der chup ho jati hai- ) Mammy ji aapki sattak gayi
hai kya, aap kya bol rahi hain.
Ritika- Agar Shaadi ke baad Pati kee har cheez par apna haq jatana ho, samjhi
na….. har cheez par…., Yani ke uspar bhi, To kayi kuch karna padta hai.
Riya- Iske liye kisi ko jaan se marna theek nahin.
Ritika- Maine tere Papa ko nahin choda tha, to teri Daadi kee kya aukat rahi
hogi mere samne.
Riya- Mammy ji…. Kya aapne Papa ko, mara tha….?
Ritika- Jisse kuch ho hi nahin paya, uska jinda rehna kiss kaam ka.
Riya- Kya Matlab..?
Ritika- Ab jyada mat ban, Janti hun main tera Paanv bhari hai. Samjh ja khud.
Riya- Mammy ji kuch to sharm karo.. Beti hun main aapki.
Ritika- Beti to maine tumhe kabhi mana hi nahin, Dost hain hum, True Friend..
Riya- Main, apne…. Papa kee hi beti hun.
Ritika- Haan ….Kyun ? koi Shakk.
Riya- Aapne to abhi bola……
Ritika- Jaan, Baat Timing kee hoti hai. Timing kee vajah se maine Tumhare Papa
ko Jaan se mara. Aur Boodhi Saas ko to maine Plastic kee thaili naak se Lapet
kar, jaan se, ek hi jhatke me khatam kar diya tha.
Is Tarh kee Movie Script hai ye. Har
Koshish Riya apni saasu maan ko khatam karne kee karti hai lekin kaamyaab
hote-2 reh jaati hai. Uski sazishon ka Pata Nishant ko bilkul bhi nahin hota
hai. Jab pata chalta hai to Riya ko apne ghar se nikal deta hai, iske baad
Talaak bhi de deta hai. Itna Pyaar karta hai Nishant apni maan se. Script ke
Ant me Riya apni beti ke sath, apne gunaho ko maankar Nishant ke paas chali
aati hai. Rote huye apni sari galtiyon ko manne lagti hai. Nishant use aur apne
bacche ko apna leta hai, Kyunki Jitna Pyaar Nishant apni maan se karta tha utna
hi Pyaar vo Riya se karta tha.
Yeh sari Script Dil ko chune vali kahani se
likhi gayi hai. Is kahani me un logon ke liye seekh di gayi hai jo Apne budhe
maan-baap ko ghar se nikaal dete hain. Isme bataya gaya hai, Ek insaan apni
maan aur patni dono ko kis tarah handal karta hai. Ye Script 2:30 Minutes tak
likhi gayi hai. Isme 4 gano ke liye jagah chodi gayi hai. Emotional+Comedy
Script Hai. Is Script me Gnnde drshy aur Sex se sambandhit kuch bhi nahin hai.
Script sabhi ko pasand aaye iska pura dhyaan rakha gaya hai.
Script Price
100000 Only{One lakh Rupees}
10% Advance,90% after3 days
Manoj Kumar
Hamirpur
Himachal Pradesh
My WhattsApp
Mob. 9805626001
100000 Only{One lakh Rupees}
10% Advance,90% after3 days
Manoj Kumar
Hamirpur
Himachal Pradesh
My WhattsApp
Mob. 9805626001