Sunday, September 15, 2019

27] Khooni-Shashan

13vin Shatabdi ke Ek Sadharan Insaan ka Ashniy khooni sanhaar. "Khooni-Shashan"


Add caption


To
The Bollywood
Film Industry
Directors & Producer
Mumbai
Sir,
     Angtesh ek Sadharan vyakti hota hai. Uski Shadi Ek bahut hi khubsurat ladki
Aleena se hoti hai. Vanha ke Raja Grjesh ko ye baat bardash nahin hoti ki Ek Sadharan Insaan ki Shadi itni Khubsurat ladki se hui hai. Isi aag me dheere-dheere Grjesh, din-prtidin jalne lagta hai. Samay beetata hai to Aleena ko Bahut hi Sury ke tez ke samman, ek beta paida hota hai. Angtesh khushi se fulla nahin samata hai. Saare gaanv me meetha gud bantata hai.

                              Bete ki sundrta ki baat jab Raja ke kano tak pahunchti hai, Tab Grjesh ko aesa mehsus hota hai kisi ne uske shareer ko aag hi laga di ho. Khabar dene vaale kee gardn Talvaar se kaat kar hava me 15 feet upar uchaal deta hai. Kuch samay beetane ke pashchaat Garjesh ke yanha bhi Beta hota hai. Jab vo bete ko god me uthata hai Tab chounk jata hai,”Ye jale koyle ke sammaan kiski aulaad hai, Aesi aulaad meri nahin ho sakti. Use neeche rakhkar Talvaar se 2 tukdon me kaat deta hai. Sara Mahoul Darr se khamosh ho jata hai. Apni Raani ke munh par Bistar par chadhkar Pishab kar deta hai. Talvaar se Hazaron tukde kar deta hai uske. Sabhi dasiyaan bahar bhaag jati hain.

                                 Aleena Ghar me naha rahi thi. Grjesh use nanga hi taango se ghasitata huaa bahar Sainikon ke aage faink deta hai. Apne ghode par dono tarf bhale, apne sir ke upar pakdta hai. Sainik hava me Aleena ko uchalte hain jo Grjesh ke bhaalon par girti hai, Bhaale neeche ghuss jate hain. Sab Aleena ki Cheenkh sun rahe the lekin kisi me bhi use bachane ki himmat nahin thi. Saari Prja, Mehal, Gaanv me aese hi Aleena ko Tez raftaar me bhaale ghusaye ghumata rehta hai. Ant me dono bhaale pura shareer faad kar uske dimaag me ghuss jate hain aur vo mar jaati hai. Aleena ko uske Jhonpde ke samne faink deta hai. Sanik Aleena ke rote bacche ko andar se nikalte hain aur hava me uchaal dete hain. Grjesh Ghode par se uchal kar Hava me 50 teer 6 mahine ke bacche ke shareer me utaar deta hai. Baccha teeron sahit maan ke shav ke upar girta hai. Grjesh agni-baano kee varsha se jhonpda dehka deta hai. Pal bhar me sab-kuch khaak ho jata hai.

Add caption

Add caption

Add caption

Add caption


                                      Agli subah Angtesh Kuch ann gathri me bandhkar apne gaanv pahunchta hai, Vanha ka haal dekhkar kandhe par se Gathri choot kar bikhar jati hai. Kanpti halat me Patni ke paas bethne lagta hai. Paglon ki tarh apne fate kapdon se kapda faad-kar nanngi lash ko dhakne lagta hai. Kanpte hanthon se Bete ke shareer par lage teeron ko chune lagta hai. Uske aas-paas log khade the sabki aankhon me aansu the. Patni ke sar ko apni god me rakh leta hai. Bete ko dusri tarf rakhkar sulane lagta hai. Dheere-dheere log chale jaate hain. Apne bibi-bacche kee purani yaadon me kho jata hai. Raat ka pehar bhi aa jata hai. Yaadon me raat bhi beet jati hai. Subah Lashon ko Chintiyaan aur Makdiyaan lag chuki thin. Angtesh Roti aur masumiyat bhari aavaj me chintiyon-makdiyon ko hataane lagta hai. 

                              “Dur hato, mera baccha hai ye, Meri bibi hai ye. Dur hato. He Bhagvaan main kya karun. Mere bibi-bacche ko bacha lo. Chintiyaan dono ke shareer ko sara dhak leti hain. Angtesh rota huaa Sara jhaad deta hai. Dono ke shavon ko uthakar jangal ki tarf rota huaa, bhagta jata hai. Lakdiyan ikkatha karta hai, Chita par leta deta hai. Patthar se aag lagane ki koshish karta hai, lekin aag lagti hi nahin hai. Masumiyat ke sath rota jata hai. Ghutno ke bal beth kar dono lashon ko niharta rehta hai. Chintiyaan aur makdiyaan lashon ko khane lagti hain. Dono lashon ko dhakk leti hain. Angtesh kuch nahin kar sakta tha, apne parivaar kee halat dekh kar sirf roye ja raha tha. Aasman ki tarf haath kar bhagvaan ko yaad kiye ja raha tha. Kuch samay baad makdiyaan sara maans khakar chali jaati hain.
                                               Angtesh dono ke kankaal uthata hai, seene se lagakar bahut rota hai aur kehta hai,”Jese mere bibi-bacche ko chita ki aag tak naseeb nahin hui, Mera bhi vachan hai khud se, Sampuran Samrajya ko Khoon ke Samundar me dubo dunga. Sampuran Samrajya me aag to hogi lekin kisi kee bhi chita ko nasseb tak nahin hogi. Roye hi ja raha tha.

                                           Ye ek 13vi shatabdi ke Insaan Angtesh ke jeevan ki, Khoon se bhari kahani hai. Paristhitiyaan Angtesh ko Itna khunkhar bna deti hain ki akele hi Sampuran Sena se yudh kar 3 baar, sara rajya jeet leta hai. Ye itna khunkhaar ban jata hai, Akela 1000 Sena ko tabah karne ki takat iske shareer me aa jati hai. Sari kahani me Bibi-Bacche ke kankaal ko jalata nahin balki hifazat se sambhal kar apne paas rakhta hai. Pahadiyon-ki-Pahadiyaan bheeshan aag se kaat kar 2 tukdon me vibhajit kar dalta hai.

                                    Ye ek Bollywood Movie Script Likhi gayi hai. Jo 3 Ghante lambi hai. Isme keval 5 gaano ke liye jagah chodi gayi hai. Is kahani me Mahan Yudh Koushal ko darshaya gaya hai. Script Ke liye Sampark karen. Is kahani ke 5 Part 3 ghante ke hisaab se hi aage likhe jayege. Is bhaag ki agli kahani aap janana chahte hain to mere is Blog me jakar Comment karke batayen. Aage ki kahani aapke liye daal dunga main. Sath me aap apni pasnd bhi Comment me likh sakte hain. 

Add caption

Add caption

Add caption

Add caption

Add caption

Add caption

Add caption

Add caption

Add caption


Dhnyavaad
Manoj ScriptsWriter
Hamirpur
Himachal Pardesh
9805626001

No comments:

Post a Comment