Thursday, August 22, 2019

20] Horror Love Story

A Horror Love Story……   Horrible Full Movie Script
 
artist
1) main role    – Aarav [double role]    – (age 24 year)
2) main role    Shayra                          – (age 23 year)
3) role             – Shayna                         – (age 28 year)
4)  role            – Angad Adhirur              (age 45 year)
5) role             – Angola Mati                  (age 35 year)
6) role             – Vishnu                          – (age 42 year)
7) role             – Baldev                          – (age 50 year)
8)  role            – Shatrughan                     (age 45 year)
9)  role            – Saamant                        – (age 27 year)
10) role           – Aaysha                          – (age 22 year)
11) role           – Sampurn Darbaar                                                             
       location
College….., Raaj – Darbaar……, House….,
    Andheri Surang .., Bhutiya Mehal..,



scripts writer : manoj kumar


Add caption
Add caption


page - one



Ghor ghana jungle tha ……. unche-unche ped  va raatri ka samay bada hi bhayaanak dhikhai de raha tha Mahaan Senapati Aarav ghode ki lagaam zor se kheenchta  hai …….  Aankhen khoon ke samman laal thin , [ Ek aurat ki puri kati khoon se lath-path baaju agli tarf kandhe se kamar tak baandhi thi ]

Senapati Aarav

Ae mere maalik reham varsana mujh par mujhe meri manjil jald mil jaaye ….,aankhon se aansu chalak padte hain , lagaam kheenchta hai - aankhon me tufaan liye nikal padta hai….. , jungle me koi rasta na hokar bhi tezi se aage badhta hi jata hai …… kuch door jaakr aage dusri kati baaju milti hai  ,aapa kho jata hai- ghode se utrta huaa gir padta hai ,paglon ki tarh baaju ke paas jata hai – dono hathon se uthata hai….

Aarav

Shayra tum hame chod kar nahi ja sakti , hum tumhare bina kese jiyenge , ye sari kayanat gawaah hai tumhare payaar ki , humse aap itna door mat jaao …. lout aao shayra aap , lout aao hamare paas


Aarav
[Is baaju ko bhi cross ki tarh chati se baandh leta hai] tufaan liye aage badhta jata hai - pahadi ke andar bani surang me ghuss jata hai …..surang itni tang hoti hai ghode ko doudne me mushkil aane lagti hai - lekin ghoda doudne ki puri koshish karta rehata hai Aarav bhi aage jhuka tha …..
            Surang ke teeno taraf se khoon se lathpath aadhi baju sath haath dheere -2 ukhad kar niklne lagte hain, hazaron ki tadaad me – [ghoda dar kar rukne lagta hai] – lekin haath niklte hi jate hain unhe dabochne ke liye

Aarav

Veer mere mitr, mera sath mat chodna , sabne chod diya hai …tum mat chodna– veer sunkar tezi se bhagne lagta hai ,bhagta hi jata hai,.. lekin surang khatam nahin hoti , badhti hi jati hai-2 ,hath un par jhaptate jate hain..



                                                         Page - two


Aarav ko gitaar bajaane ka bahut shouk hota hai , uski nas-nas me gitaar ka junun charm seema tak bhara hota hai ….. college room me gitaar lekar aata hai – upar uthata huaa  , sara claasroom zor se chilaane lagta hai khushi ke mare ….


Aarav

Neeche padi chair ko kikk se seedha karta hai – ghutne par taang rakhkar beth jata hai – gitaar ko uchaal kar god me pakad leta hai …….
           Gitaar mere liye mera junun hai ,ye bo dehshat hai mere liye jise har pal main apni nas-nas me mehsus karta hun,... main janta hun aap sab mujhse kitna payaar karte hain, isliye aap ki khatir competition ke 10 00 000 rs. main jeet kar aapko btaunga,Sirf aap logon ki khaatir



[ sabhi zor se chillaane lagte hain , khush hokar]


Aarav

Lekin main ye compition ladunga ..,us ladki ke khatir jo sabse beech me bethi hai bhuri aankhon bali…. , abhi 35 minute hi huye hain ,mera dil …, tumpe aaye huye


Shayna

Sharm mehsus karne lagti hai ,
[ sabki nazren uski tarf dekhne lagti hain ]


Aarav

Main payaar karne lagaa hun tumse jaan , tum bhi karne lagogi , jab mera ye madhosh kar dene bala gitaar sunogi ……, khud lipt kar kahogi  I LOVE YOU Aarav  



Sabhi taliyan bajane lagte hain shayna ki tarf  dekh kar


    
Page – three


charon aur student bethe the ….compition ke stage par aarav chadta hai chair par beth jata hai , charon aur khamoshi chaa jati hai , gitaar ghumaa kar god me pakdta hai


Aarav

Gitaar bajane lagta hai , jese koi mahan guitarist gitaar baja raha ho, bese bajana shuru karta hai – ungliyaan bijli ki tarh sitaron par chalne lagti hain – aankhen band kar- pura bajane me kho jata hai  … Ek mahan guitarist ki kala kya hoti hai sab uski kala se chalkne lagti hai,ungliyaan jese tufan macha rahin thin , bajaaye hi ja raha tha masti me jhumta huaa, isi mahaan andaaj ko 10-15 minute tak college par barsata rehta hai ……..


Principal

Is 10 00 000 ke inaam ko pane ka haq sirf ,future guitarist king Mr.Aarav ka hi hai , ye main nahin bolta uski mehnat aur lagan bolti hai – main chahta hun bo is inaam ko aakar ….,le


Aarav

[ Mike me bolta hai - ] I love you Shayna , …..agr tum kahin mujhe sun rahi ho to is vaqt bilkul sapst sun rahi ho, love you , ladkiyaan mujhse dosti karne ke liye tarsti hain , khud apna whatttsapp no. deti hain , lekin maine aaj tak kabhi kisi ladki ko palt kar nahin dekha ,kisi se hath tak nahin milaya, kyunki kabhi is dil ko jaan mili hi nahin



[ jaan movie ka gana gaane lagta hai ,ye pura gana gata hai- ek jagah khada rehkar gata – 2 aankhe jab band karta hai Shayna hi dikhai deti hai …………sare gane me







Page –four


Song no. 1



Ja….an o meri ja….an , ja….an o meri ja….an
………  ………..  ………….  ………
………..  ….. ……  …….. …  ….. ….
.………  …………  …………  …. ….
……. ……..  ………  ……….  ……..


Aarav

Shayna ,ab to ye inaam tab hi lunga main jab tum apne hathon se dogi mujhe , agr nahin to ja raha hun ye inaam chodkar  ….. [chala jata hai ]----




















Page –five  



Dvaarpaal

Shehnshahe Hind, Mahan Samraat,Vishab Vijeta Angad Adhirur padhaar rahe hain ….dhuri ke saath savagat hota hai unka


Angad Adhirur

Samraat Angad darbaaar me aate hain ,saare savagat me khade the - bethne ko kehte hain –
….mantri ji ,hamari prja me sab kushal mangal to hai


Angola Mati mantri -

Mahan Samraat aapki prja me kabhi koi dukhi reh sakta hai kya- parntu Samraat ,dakshin ki aur ghor ghane van me bhayanak shaktiyon ka vaas hai …unhone dakshin ke raja Shatrughan ki puri prja ko, khatam kar diya hai


Anghad Adhirur

Chounk uthte hain- kya ………hame iski suchna kyun nahin di, bo hamara padosi rajay hai ,itna bada aaghaat huaa unke sath ,Shatrughan to hamare mitr hain – unhe koi ahit to nahin pahuncha


Angola Mati

Maharaj Maharaja Shatrughan ka pura mehal khandar ban chuka hai ….,mehal ke kisi bhi sadsya ka kahin par koi bhi namonishaan nahin hai, dakshin praant me sab jagah tabahi-hi-tabahi ka manjar hai Maharaaj


Angadh Adhirur

[Gusse se khade ho jate hain bhayanak garjna se garjte hain shatru………..ghan ] aankhon se aag khoulti hai





Page-six


Angad Adhirur

Hamare mitr ke sath itna bura huaa [chilata hai-……]
Senpati Aarav …..


Aarav

Darbaar me pahuchta hai ghutno ke bal jhuk kar talvaar neeche rakhta hai -…. hukam Shehnshaah


Angadh Adhirur

Sampurn sena ko yudh bhumi me utaro, dakshin praant me bhayanak shaktiyon ka vinaash hum khud karenge ,
Apne parm mitr ki mrtyu ka badla hum khud lenge


Angola Mati

Shehnshaahe hind gustakhi maaf - maharaja Shatrughan ki seny shakti hamari seny shakti se paanch guni thi , lekin dakshin praant me tabahi ke alava kuch bhi shesh nahin hai.., hamari seny shakti kam hai, fir bhi aap vishv vijyi hain , samraat ..,mere kehne ka taatpry hai hame is vaqt mastishq se kaam lena chahiye ….,aap bo galti na Karen jo maharaja Shatrughan ne ki


Aarav

Mahan Samraat , mantri ji sahi keh rahin hain ,bhayanak shaktiyon par bhi vijay kebal aap ki hi hogi , is vaqt aap ki aavshykta  parja ko hai, aap kebal mujhe aagya den , vijayi kebal …..aap hi honge


Angad Adhirur

Kandhon par haath rakhkar uthata hai ….. vinash karke hi loutna ….. kitni sena chahiye tumhe , le jaao saath me


Aarav

 Shehnshaah , main apne sath chand shurveeron ko hi lekar jaaunga .




Page -seaven



College me Shayna ko aarav gher leta hai
[sath me saheliyan bhi hoti hain]


Aarav

Shayna yaar aap mujhse baat kyun nahin karte hain , ek kaaran to bataao mujhse baat na karne ka ….. I love you jaan …..,  kami kya hai mujme batao , aapke liye apni har kami puri karne ki koshish karunga main ……..,
Batao aap…, kyun nahin aap mujhse baat karte


Shayna

Gusse se dekhti hai


Aarav

Aese na dekho mujhe –…. ho sakta hai payaar ke izhaar karne ka tareeka mera alg ho .., jo shaayad aapko passnd na aaya ho , …….sorry yaar , main apna parpose vaapis leta hun , aap jis dhang se kahengi usi dhang se main aapko ab parpose karunga ……., Ab to muskura do aap, aapke liye maine itna kar diya hai ab to ..
                                                              chalo aaj se hum pakke dost ,best bale okkk..


Shayna

Gusse me chali jati hai


Vishnu

Peeche se kandhe par haath rakhta hai:- kyun ve majnu,
Ise patye ga tu ,chal aaja mere sath main batata hun ladki ko kese patate hain, …aaja
[ jabrdasti college ke toylet me le jata hai ] ..






Page-eight



5-6 ladke andar aakar darvaja band kar dete hain


Vishnu

[ dhakke dene lagta hai ]
Kyun ve ,Ajay Devgan samjhta hai apne aap ko , phool aur kaante bahut baar dekhi hai maine , apni kishmat dekh ..,ye seen bhi usi film ka hai  , aur apni badkismat dekh main fan bhi Ajay Devgan ka hun …
[sabhi hans padte hain ]


Vishnu

Flying kikk maarata hai


Aarav

Benchon par girta hai




Iske baad action se sab Aarav ki jabrdast dhunaai karte hain,
Action par action thokte jate hain , bahut buri tarh maarte hain …,  .Aarav door-2 jakar girta hai …..5-10 minute tak maarte rehte hain bahut buri tarh


Vishnu

Toylet ka dhakkn kholta hai , [sabhi apna naak band karne lagte hain ]….. Aarav ko uthakar usme daal dete hain—chapp karke neeche girta hai









Page-nine


Senapati Aarav 20-25  shoorveer sainikon ke sath dopehar ke samay tufaan ki bhanti - bhayanak shaktiyon ko parajit karne ke liye hava ko cheerta huaa nikal raha tha ……. Ghode kehar varsa rahe the ……… dakshin praant ke madhay phunch chuke the ,lekin jungle khtam hone ka naam hi nahin le raha tha …..,  vese hi tufaan ki bhanti ghode aage badhe ja rahe the…



Ekaek bhishan tufaan chalne lagta hai , zor ki aandhi …, ghodon ka doudna mushkil hone lagta hai ,  …lekin fir bhi rukne ka naam nahin lete doudte hi rehte hain, …..tez aandhi se bade-2 vriksh beech me se toot kar neeche girne lagte hain -…tad-tad…tadaaaak …, bada ped  udkar sainikon par girta hai –sainik hava me ud jate hain - koson door jakar girte hain …,. Tufaan me ghode bhi ud jate hain . paanch sainikon par bada ped toot kar girta hai …..ghodon sahit vanhi dav kar mar jate hain



Akela Aarav bachta hai …. , uchal kar door girta hai..ghoda ped se takrata hai ,door jaakar vanhi mar jata hai…Aarav ped ki tehni se latka tha ..,ped hi ukhad kar gir jata hai ,Aarav  hava me uchal kar door girta hai ..



Tufaan dheere-2 shaant hone lagta hai ….pura shaant ho jata hai….


Aarav

Akela bo hi vachta hai …..pasli pakad kar uthta hai dheere-2  , dekhta hai to kya dekhta hai jungle ka kanhi namonishaan hi nahin raha tha …




Page-ten


Jese kabhi vanha koi jungle hi nahin tha –mitti ke bane bhoot charon tarf se ubhrne lagte hain….., bhayank -2 aavajen aane lagti hain - sabhi dishaaon se. Hazaaron ki tadaad me bhoot ubhar kar, Aarav ko gherne lagte hain


Aarav


Jara bhi ghavrata nahin hai , apni talvaar nikalta hai… unse yudh karne lagta hai,kaat-2 kar unhe fainkne lagta hai ….



Bhayanak aavaje bahut aa rahin thi, bhoot nihthe us par jhapt rahe the, Aarav sabhi ko kaat-2 kar faink raha tha.
Bhoot use maarne ke liye jhapte ja rahe the lekin bo unse haar nahin maan raha tha …



Sabhi bhoot ikkthe udkar us par jhaptate hai, bheeshan maha bavandar ke saath hava me udakar le jate hain ….. ye vishaal parlyakaari bavandar door unche kaaale parvat me sama jata hai


















Page-elevan

Aarav

Class room me claas attend kar raha tha lekin dono nazren Shayna par tiki huin thin - khayalon me kho jata hai yanhaa gata hai -payaar se bharaa huaa gana




Song no. 2
khayalon me khokar ….. ……. …… ….. ….. …. .


Baldev

[Sab dinnar kar rahe the] – bête ab shaadi ke bare me kya socha hai tumne


Aarav

Dady ji college to pura kar lun , shaadi ka kya hai, uske liye to sari jindgi padi hui hai


Aayasha


Nahin bheya mujhe ek payari si nanhi bhavi chahiye , bilkul cute-cute


Aarav

2-adhai saal ki


Aaysha


Bo to baad me pehle 22-23 saal ki to laao

Aarav


Koshish to jari hai , lekin tumhari bhavi mujhse baat hi nahin karti








Page-twelve

Aaysha

Mahaan guitarist ko koi ladki bhaav nahin de rahi hai , ye to aapki toheen hai


Maan

Ye kese ho sakta hai bête, ladkiyaan tumse shaadi karne ke liye mujhe patane ki koshish me, ghar tak pahunch jaati hain …. Phone kar-2 ke mujhe tang kar deti hain


Aarav

Mammy ji ye hi to us ladki me khaas baat hai jo in phone karne baali ladkiyon me nahin hai , aapko main aesi bahu laakar dunga roj aap uski aarti utara karengi, itni sunder hogi bo ……..Aaysha ki kasam


Aaysha

Meri kasam jhuthi mat khaao … bo ladki tumse kabhi nahin pategi , koi guitar ka sur nahin hai jo cheda aur baj pada , tumhare jesa bebkoof  bhi koi nahin hai .
                                    ….us ladki ke khatir Dady ji ye 10 00 000 ke inaam ko thokar maar kar aa gaya tha…. nahin to main aaj 10 00 000 rs. se aish kar rahi hoti


 Dady

Kya Karen bête, majnu ko payaar jo ho gaya tha


Aarav

Ye kissa abhi band karo mujhe shrm aa rahi hai


Dady

Sach me






Page-thirteen




Mitti ke bhooton ne Senapati Aarav ko bahut buri tarh bhaynkar vishaal surang ke andar jakad rakha tha . Aarav chutne ke liye chatpata raha tha ….
Ek insaan ke shreer ka chamda ek shaitaan bade khanjar se udhed raha tha , bo insaan jor se chilla raha tha dard hone par ….shaitaan us insaan ke haathon me bade kile thor deta hai…….., fir pairon me kile thorta hai


Shaitaan

Udhedi chamdi  lekar Aarav ke paas aata hai….. is insaan ne hamen sabse jayaada pareshaan kiya hai ….. chod do ise ……[chod dete hain ] chup chaap tum apna shreer mahaan Samraat ke havale nahin kar sakte     …        ….itna chatpta kyun rhe the tum , tumhare garm khoon ko peene ka maja kuch aur hi hoga
 [ jeebh laplapata hai aankh band karke…]
 bada aanad aayega ………. Garm-garm gost ko khakar …..tum yanhi khade raho ,tumhari baari bhi aayegi


Aarav

Jump maarkar uske aage khada ho jata hai- us par laat aur ghunson ki barsaat laga deta hai 20-30 thok deta hai
Lagataar …


Shaitaan

Gir kar uthta hai – sach me bahut maja aayega


Aarav

Maharaja shatrughan aap…..





Page -fourteen

Shaitaan

Utha kar , bade patthar par faink deta hai ….gale se pakad kar upar tanga deta hai ….


Aarav

Maharaj main aapke ….. mitr ….,mitr Maharaaj Angad Adhirur ka sena……. Sena….., senapati hun


Shaitaan

Door faink deta hai ……Shaitaniyat aavaj me dahadta hai …. Mitti ke bhoot dar kar pataal me ghus jaate hain ,
Dehshatgardi- bhayabheet kar dene bali aavaj me aavaj me aage badta hai ….


Aarav

Khada nahin huaa jata fir bhi khada hota hai …….. maha….maha …Maharaj main Senapati Aarav hun ..peh.. pehchaniye mujhe ……..


Shaitaan

 Dono hathon se hava me uthadeta hai …..zor se dahadta hai gufa me ,Dahadne ke sath bheeshan tufaan uthta hai aur fir shaant ho jata hai …. Deewaar par faink
deta hai  ..


Aarav

Us par hamla kar deta hai laat ghunson se


Shaitaan

 lekin us par haavi hi rehta hai uthaa-2 kar door fainkta hai ,maar-2 kar aur patka-2 kar, lahuluhaan kar deta hai.
ant me kandhe par uthata hai pure zor se dahadta hai  bheeshan tufaan ke sath jameen me ghuss jata hai…





Page-fifteen

Shayna

College me Shayna ek ladke se hans-2 kar baaten kar rahi thi


Aarav

Guitaar kandhe par uthaye samne se aa raha tha …..,  Shayna par nazr padti hai……….. dono ki tarf dekhta hai, ladke me apna aap dikhai dene lagta hai  …baaten karte -2 , hans-2 kar baaten kar rahe the ……..



Yanhan aata hai payar se bhara gana
Is gaane me dikhata hai ki jitni acchi ve guitar baja sakta hai usse accha break dance bhi kar sakta hai



Song no.-4


Aarav

Dono ko khade dekhta hai chounk jata hai ….


Shayna

Usi ladke se hans-2 kar baaten kar rahi thi , fir bye bol kar chali jati hai …..Aarav ki tarf dekhti tak nahin hai


Aarav

Use end tak niharta rehta hai ….jakar ladke ko dhakka deta hai …., kyun ve didi se baat kar raha tha , kya baat ki didi ne


Rohan

Guitar master hai ,Guitar master hi bana reh …..pura jameen me gaad dunga nahin to..






Aarav

Toylet ke khadde me daalne ki baat yaad aati hai ….,gala sukh jata hai … maa..maa.maaaf karna aap


Rohan

Ye to main tera fain hun, bach gaya tu ….barna itni der koi, mujhse baat tak nahin karta hai .


Aarav

[ Haath jodta hai ] so…sorry bhai ji


Aarav

[ Calaas room me ] - Hi Shayna ji …….


Shayna

Tumne meri kalaai kese pakdi ….., mujhe tumne apne haathon se chuaa - tamaacha jad deti hai




Khaamoshi cha jaati hai


Aarav

Main aapse payaar karta hun , aur aapko apne teen bacchon ki maa banana chahata hun


Shayna

Dusra tamacha jadti hai



Guitar chut jati hai…, gir jata hai …. Gaal pakad leta hai …….. dheere-2 uthta hai .

Page-sixteen





Page – seventeen


Aarav

 Kya kami hai mujme , aapke liye apni har kami puri karunga main…Please Shayna ji ,mujhe yun thokar mat mariye …..main aapke bina nahin ji sakta…,aap batayen mujhme kami kya hai


Shayna
[gusse me]-
Main tumse payaar nahin karti … aainda se kabhi mere peeche mat aana ,mera rasta rokne ki koshish mat karna, nahin to beech me se hi cheer daalungi…


Aarav

Gaal sehlane lagta hai – lekin aap mujhse payaar kyun nahin kartin …..mujme kami kya hai
[ aankhon me aansu aa jate hain ]….


Shayna

Ye jaruri nahin sare college ki ladkiyon ki passnd Mr. Aarav hi ho ….

Aarav
Jhatka hi lag jata hai

Shayna
Ye jaruri nahin ki Shayna Aarav se hi payaar kare …,Ye jaruri nahin ki Shayna Aarav se hi shaadi kare

Aarav
Aansu ruk hi nahin pate ……..main aapse bahut payaar karta hun Shayna ji , ye bhi bata dijiye ….,main aapke bina ,  ji….jiyunga kese

Shayna

Maine to nahin kaha tha pure college ko chodkar sirf mujhse hi payaar karo…

Aarav

Bahut rota hai ,rota jata hai ….[sari class dekh rahi thi]
 ….mar jaaunga Shayna ji , main …aapke bina ….



Page - eighteen





Sunsaan vishaal surang hoti hai Mehal ke aakar me  andar se …… insaan ka chamda is dhang se udheda tha ki mundi saath me hi thi ….isse Senapati Aarav ke haath –peron ko kheench kar jakda tha ,do bade mitti ke pillron se ….. 10-11 mundiyaan latak rahi thin..


Aarav

Behosh tha ….




Khoon se lathpath chudail usse liptne lagti hai, ekaek 2…3…6…fir 10 chudail saanp ki tarh liptne lagti hain . charon tarf apne daant gada deti hain …dheere -2 payaar se khoon chusne lagti hain ….

Ek chudail ke daant Aarav ke gale me dale Shiv ke loket
Par padte hain ……

Kadkti bijli charon tarf chamkne lagti hai …sari gufa me bijli kadkne lagti hai, chudailon ke bade daant sharer se niklne lagte hain , lekin chudailen kahan maanti hain …aur ghusaane ko zor deti hain  , kadkti bijli dheere-2 chudailon ko Aarav se door kar deti hai …chudailen  fir usse chipak jati hain ….fir daant ghussa deti hain
Kadakti bijli aur zoron se kadkti hai ….fir dhere-2 chudailon ko door karti hai…..puri kadkdahat ke saath,  kadkadahat unke shreer ke aarpaar  hone lagti hai--- chudailen chillane lagti hain dheere -2 kadkadahat se nast hone lagti hain ….
                          Baad me kadkdahat bhi samapat ho jati hai……






Page-nineteen


Aarav

Dheere-2 hosh aane lagti hai ….apne bandhan dekhta hai …. Apne shreer ko jakhmi dekhta hai,  mere malik koi rasta dikha …. In bhayanak shaktiyon ka vinash kese karun main, e mahakaal koi rasta dikha


Saamant

Chattaan khiska kar aata hai … jakhmi haalat me …. Dheere-2 pahunchta hai  Aarav ke paas …….


Aarav

Mitr tum .. chuna nahin ,chuna nahin …isi bandhan me jakd jaaoge tum …,chuna nahin.. koi tarkeeb nikalo ..


Saamant



Tarkeeb apne saath laya hun main ye raha gangaa jal ..sara Aarav par chidk deta hai

Aarav

Sare bandhno se aajaad hokar dhakke se neeche girta hai….. ,tumne sara ganga jal ek hi baar me khatam kar diya bebkoof …..,yanha tak kese pahunche…


Samant

[Uthata huaa ]– ye mat hi pucho kese pahuncha hun..is bhayanak jagah me ,agr tum mitr na hote to kabhi nahin aata yanha ..70 laakh sainik mare ja chuke hain ..unme se keval main hi bacha hun, aadhi sena khatm ho chuki hai hamare raajya ki , ab tumhe hi sab kuch karna hai . Maharaaj baaki sena ko yudh prshikshn de rahe hain ..







Page-twenty



Shayna ke inkaar ke baad Aarav pura toot chuka tha Shayna ki yaadon me khoya tha ….yanhan par aata hai dard se bhara sad song….. akela hi gata hai bina guitar bajaye aur khoob rota bhi hai …gum me doob kar



Sad song
Song no. 5


Aarav

Akela hi rota huaa dopehar ke samay jungle me guitar uthaye chala jata hai , aansu band nahin ho rahe the, jungle use kuch jana-pehchana sa lagne lagta hai …….
Beeti yaaden aane lagti hain jab tufaan me uski sena udi thi ….[ Dhundhli-2] yaaden aane lagti hain ….  bhooton ke chehre yaad aane lagte hain…….,  
 bhayanak -2 drishya yaad aane lagte hain ………


Aarav

[chillata hai]-
Mammy …… mammy….mammy…. guitar choot jati hai , dar kar jungle se bahar bhagne lagta hai, guitar uthata hai, paseena -2 ho jata hai bahar bhagta jata hai, lekin jungle kanha khatam hota hai , jitna bahar bhagne ki koshish karta hai utna ghor-ghane jungle me khota chala jata hai , mammy-mammy kehta huaa bhagta chala jata hai , darta huaa mammy ji …mammy ji …..mujhe bachaao,…..mammy ji…mammy ji…….girta padta bhagta jata hai…, Ab bhagte-2 saaf bhooton ke chehre jehan me aane lagte hain …zor se chillata hai …mammy…..mammy  mujhe bachaao….


Aarav

Raat ke samay bistar par dara huaa betha huaa hota hai..bo hi bhayanak pal dimaag me chal hote the ..




Page-twenty one

Aarav


Bhooton ke bo chehre gunj rahe hote hain bhayank dahadne ki aavajen gujne lagti hain …..dar ke mare sara bistr geela kar deta hai….. thar-2 kaanpne lagta hai ….paseena-2 ho jata hai , Kaanpta jata hai …..


Maan

Khatkhtane ki aavaaj sun kar darbaaja kholti hai -Chounk jati hai-Aarav kya hua bête suniye,uthiye jaldi


Aarav

Thar-2 kaanp raha tha behosh hone lagta hai …..




Maan –baap pakdte hain,  kya huaa bête apne andar le jate hain ..leta dete hain ……


Maan

Rote huye ….kya huaa ji Aarav ko ,aap jaldi se dr. ko bulaiye  …..


Aarav

Dady ji …..dady ji, mujhe chod kar mat jaiye …aap dono mere ,..mere paas rahiye …..




Dimaag ki gehraiyon me neend aane lagti hai, dheere -2 savpn me khone lagta hai……sapna aane lagta hai ….








Page-twenty two

Senapati Aarav

Bhayank surngiya mehal me, jakhmi haalat me Mitr Saamant ke sath aage badh raha tha …
                                         Tabhi safed livaas me saamne se pariyon se bhi sundar ladki aati hai ……..




Dono mitr chounk jaate hain


Saamant

Pura svarg is bhayank mehal me kese utar aaya hai , isse ati sundar to shaayad hi koi hoga


Shayra

[ Payaar se Aarav ki tarf dekhti rehti hai......... ] Hamara naam Shayra hai… Aap dono yanha kya kar rahe hain


Aarav

Use dekhkar jese use dard raha hi nahin ho ………. Najron me hi kho jata hai , jese payaar ka beeja ropan huaa ho :-  Aap, is jagah par kya kar rahi hain , ye aapke laayak nahin hai


Shayra

Main aapko yanha se bahar nikalne aayi hun .. Aap nahin jaante ye jagah aapke liye theek nahin hai..


Aarav

Ek baat kehen aapse ….


Shayra

Kahiye ….. aapke har prshn ka uttar denge hum , aap kuch bhi puchiye ….besh bhusha se to aap kisi rajay ke Senapati aur jakhmon shoorveer lagte hain .




Page –twenty three

Aarav


Muskurata hai:- Abhi kuch hi samay huaa hai aapko jaane huye…., Aap bahut  khoobsurat hain ….


Shayra

[ Usme jese jaan pad gayi ho ]-Payar se sharma jati hai Jese phulon ki varsha ho gayi ho us par .


Aarav

Hum aapse nikaah karna chahte hain , apne teen bacchon ki maan aapko banana chahte hain ….teen shoorveer bête hamare honge , bilkul aapki tarh sundar


Shayra

Sunkar jese puri kyaanaat hi use mil gayi ho, aankhon se aansun chalk padte hain , khushi ke mare dharayen behne lagti hain aankhon se …
                               Dheere-2 jakar Aarav se lipt jati hai ,
Haan me sar hillati hai fir jor se kas leti hai …


Aarav

Aesi thandak padti hai use baanhon me jakad leta hai



Yanha aata hai payaar se bhara gana is gaane me dono apni jindgi jeene lagte hain , jeene marne ki kasme khane lagte hain , isme inka payar gehre-se-gehra hone lagta hai

Song no.6







Page –twenty four



Vishaal surngeey mehal me bhayanak bhoot kataaron me khade hote hain mahadarabne – 2  …


Shayra

Lambi white poshaak me darbaar me aati hai .. jese-2 aage-2 chalti jati hai , vese-2 uski khoobsurti bhayankta me badlti jati hai ,uske kapde darabne bante jate hain …itni bhayanak ban jati hai ki jese koi dekhkar behosh hi ho jaaye .. , murdon ke kankaalon se bane sihaansan par khadi ho jati hai…



Sabhi ek ghutne ke bal beth jate hain ..,sara mehal bhooton se bhara tha …. Aatmaayen chat par tair rahin thin ..paani ke bahaav ke jese…


Shayra



Aankhe band karti hai …… Senapati Aarav ka chehra dikhaai deta hai …
                              Aankhe kholti hai….. dono haath seene ke paas laakar …door karte huye dahadti hai… Bheeshan tufaan chalne lagta hai …. Neeche bhooton ke shreer ukhdne lagte hain – bhooton me hahakaar mach jaati hai, shreer fir chipk jaate hain , parchnd tufaan ke saamne kisi ki nahin chalti , fir sabke shreer ukhdne lagte hain …..kayi bhoot havaa me latk jaate hain –unke shreer ukhad rahe the ….haddiyon ke kankaal dikh rahe the unke … jakhmi ho jate hain ..


Shayra


Kuch samay ke baad Dahadna band karti hai




Page-twenty five



Sabhi bhoot neeche girte hain …, gad-dhaam se jakhmi haalat me –khoon se lathpath …….,
                                               Dheere-2 sabhi khade hone lagte hain , lekin khada nahin hoya jata …


Shayra

Aaj se tum sabhi aajad ho ………, koi bhi mera gulaam nahin rahega, main tum sabko tumhari jindgi lotati hun


Shatrughan

Nahin malik , aap hamare maalik hain , hum aapko chodkar kahin nahin jayenge … puri duniya ko aapke aage jhuka denge …


Chudail

Haan mere maalik ,hamare astr bhi insaan ke mukable kafi behtar hain …Aap hamen apne se door na Karen ,
Hamari prjaati hi hogi , jo sampurn duniya par raj karegi


Shayra

Ye …… hamara hukam hai…



Sabhi dar jate hain ….jameen  me 20 y 6 ki bhayanak talvaar leti hoti hai , saare shaitaan us par girne lagte hain , kat kar do tukdon me bantate jate hain …. Rote huye –hamare malik ne hamara tayaag kar diya hai , ab hum kese apna gujar-basr karenge …, insaano ko kese khayenge …,  kat -2 kar girte jate hain rote huye …..,  
Mujhe to insaano ko abhi tak , chabana bhi nahin aata.. abhi-2 chabaana seekha tha main  …..
                                                    Main bhi mere dost ..,
Laga dete hain dono talvaar par chalaang beech me se kat jaate hain….., bari-2 sab lagate hain




Page-twenty six

Senapati Aarav

Bageeche me Shayra ka intzaar kar raha tha …peeche paltataa hai…Shayra ko khada pata hai …muskurata hai


Shayra


Aese muskurati hai jese Aarav ko payaar se maar hi de. Pal bhar me hi har bageeche ki cheez bhayank bhootiya mehal me paribartit hone lagti hai ,  mehal ban jata hai ,


Aarav

Kalai pakd leta hai - Shayra ye kahan aa gaye hum …tum ghavrana mat , main tumhaare sath hun  …… , tumhe kuch nahin hoga , ye vachan hai mera , talvaar nikaal leta hai….


Shayra

Haath chudati hai ……Aap hamara saath kab tak denge


Aarav

Aakhiri sabaash tak , Aap to hamari jindgi hain ,Aapke liye hum Shaitaan to kya us Malik se bhi lad sakte hain .
Jindgi jeene ke liye agr sbaash ki aavshykta hai , to aap hamara bo sabaash hain …


Shayra


 Aansu aa jate hain - Satya keh rahe hain aap .,  vachan

Aarav


Vachan

Shayra

Hamari  sachaai ye hai …dheere-2 bhayanak chudail me parivartit hone lagti hai …10 feet unchi bhayanak chudail ban jaati hai .




Page-twenty seven

Aarav


Chounka reh jata hai ….. munh khula-ka-khula reh jata hai …. Talvaar nikaalta hai, gale ka shiv ka loket talvaar se baandh  kar - uske pet me talvaar ghused deta hai ….


Shayra

Kadkti bijli us par girne lagti hai ., dard se chillati hai - aam roop me gir jaati hai …..  kadkadati bijli use ghere rehti hai …


Aarav

Pure zor se talvaar kheenchta hai …. Kadkadana band ho jata hai …..


Shayra

Aapne hamen … dhokha diya .., hamne…hamne to apni saaari shaktiyaan …. Apna sara ilm …… jo hamara tha sab kuch aapke upar nyuchaabar kar diya ,  Aur aapne hame dhokha diya


Aarav

Aankhon me aansu aa jaate hain ….. ek baaju kaat deta hai …….

Shayra

Zor se chillati hai… dusra baaju katne par bhi zor se chillati hai tadaf-2 kar girti hai idhar-udhar ….


Aarav

Aankhon me aansu the …, aap isi laayak ho ….. maine nahin ,aapne mere payaar ko dhokha diya hai .. astya bola har baar aapne hamse …..







Page-Twenty eight


Shayra
[Rote huye]
 Aapne hamen peeda pahunchaayi .. hamare payaar ko gaali di …,  Agar  hamara payaar saccha hai to
Aap  har janm me vese hi tadfenge payaar ke liye jese hum tadfe hain is yoni me …. , aapke liye  ..


Aarav

Aapne sara dakshin praant nast kar diya ,  Maharaaj Shatrughan aur unke sare parivaar ko samapt kar diya, ye sab dekha jaaye to aapka ye payaar kuch bhi nahin hai .. ek shaitaan ka payaar kabhi bhi saccha nahin ho sakta …..
                  Shiv ka loket us par faink kar chala jata hai.
Ghor Kadkdaaht vars padti hai Shayra par …




Darbaar me pahunchta hai …. Dheere-2 , nangi talvaar khonn se lathpath haath me pakde huye , vanhan Maharaja Shatrughn aur unke parivaar ko dekhkar chounk jata hai ….



Sab Aarav ki jay-2 kaar kar rahe the ….


Aarav

Maharaaj aap ….., jivit hain


Shatrughan

Shaitani shaktiyon me bhi aakhir sachai jnm le sakti hai
Khuda ka khouf shayad unhe bhi hota hai ….. saare bhootkaal vansh par hakumat karne baali Shayra ne hame hi nahin , hamaari saari prja ke saath-2 un maasumon ko bhi chod diya jo laakhon-carodon saalon se uske aadheen the ……




Page –twenty nine


Aarav

Khoon se lathpath talvaar haath se choot jaati hai , aavaj karti hui girti hai …


Shatrughan

Aaaj sabhi ko aajad huye 9 din ho chuke hain  … hum yanhaa jashan manane aaye hain ..lekin is jashan ka aanad do gunna ho gaya hai … aapne Shayra par vijay jo haasil ki hai


Aarav

Ghutne ke bal gir jata hai aasuon ki dhaarayen dhara-dhar behne lagti hain bahut rota hai … dono mukke aasmaan ki tarf karta hai Sha…….ra ……

















Page-thirty

Aarav

Shayra chillakar uthta hai …..


Aaysha

Bhaiya … kya huaa aapko , neend me bhi bhaavi ka hi naam le rahe ho …., raat ko aapne ek aur do no. paint me hi kar diya tha , maine hi aapki paint saaf ki…, mera naseeb to dekho washing masheen ko bhi aaj hi kharaab hona tha …..


Shayna

Andar aati hai – chup karke nazre neeche karke khadi ho jati hai …..


Aarav

Uski kantili sari baaten yaad aane lagti hain .. … … … …. …. …. …. …. …. …. …. …. …. …. … …. …. …
Shayna
Kya main aapse shaadi kar sakti hun …. Main shaadi karke ..,aapke bacchon ki maan banana chahti hun …,


Aarav


Aankhen halki geeli ho jati hain :- kanteeli baaten yaad aane lagti hain……………….  ,  
                 fir Shayra ki kahi baaten yaad aane lagti hain Shayra ka payaar yaad aane lagta hai .. Apne aansu rok hi nahin pata ……


Aaysha

Bhaai ko aansuon ke saath baanhon me bhar leti hai  ..
Bahar maan-baap khade the ..

Aarav
Chale jaao aap .., main nahin chahta meri dil se nikli aah
Aapko jhakjhor kar rakh de …, kya. …..?  aap khud ko …..mere payaar ke kaabil samjhti hain …..? main to aesa nahin samjhta ….




Page -thirty one

Shayna

Chounk jati hai ,Aansu aa jaate hain…haath jodti hai


Aarav


nikal aata hai baahar….,  usi bhootiyaa surang ke andr pahunch jata hai ……[ chillata hai] Shay…..ra ,Sha..yra
shay……..ra ….. aage badhta hai , mujhe vishvaas hai aap mar nahin sakte , bhagvaan hamse itna aaghaat nahin kar sakta , …….. iska saboot hai mere jehan me aapke  khayaalon ka aana …. Aansu nikal aate hain , Shayra  ..Shay…ra …, itna mat tadfaao mujhe ki mery saanse hi seene se nikal jaayen …. Ek baar aapko kho kar har saja paa chukka hun main ,  dobara nahin khona chahta … ,  har roop me aap mujhe passnd ho …aap bhoot ho….  prêt ho ya pishaach ho , ye jindgi sirf aapki hai …. …….
                                   Mar jaaunga Shayra ji main aapke bina ….. mat tadfaao aap ….peeche paltata hai

Shayra

Aansuon ke sath usi sundar roop me khadi thi


Aarav

Dekhte hi …..,vayaan nahin kar paata apna aehsaas


Shayra

Roti hui – Main……., insaan nahin hun …


Aarav

Banhe failata hai ……. hamse payaar kitna karte ho

Shayra
Bhag kar lipt jaati hai …dono bahut rote hain ….mera payar hamesha saccha tha – Bhagvaan Shiv bhi mere payaar ke aage haar gaye …. bahut rote hain dono  Aarav hathon me chehra lekar chumta hai
                              THE-END






















































No comments:

Post a Comment